Jaanein Bachayenge Lyrics in English - Arijit Singh

Jaanein Bachayenge Arijit Singh Lyrics
Jaanein Bachayenge Lyrics in English by Arijit Singh is a latest Hindi song. Arijit Singh has sung the song “Jaanein Bachayenge". Music composed by Arijit Singh and Jaanein Bachayenge Lyrics written by Neelesh Misra.


Jaanein Bachayenge song details:

Song: Jaanein Bachayenge
Singer: Arijit Singh
Lyrics: Neelesh Misra
Music: Arijit Singh
Label: Oriyon Music

Jaanein Bachayenge Lyrics


Chehra hamara ab hum
Kam kam hi dekhte hain
Kamron mein bebasi ke
Bas gham hi dekhte hain

Bacchon ka apne hasna
Bas phone par hai dekha
Ghayal hatheliyon pa
Jeevan ki tooti rekha

Hum ghar ke bistaron par
Kab se nahin hain soye
Chhup kar ke naqabon mein
Hum kitni baar roye
Lo rakh lo apne tam gaye

In surkhiyon ko rakh lo
Har roz ki in farzi
Hum dardiyon ko rakh lo
Kyu mera rehnuma ye
Sab rokta nahi hai

Kabhi maut ke munh mein yun
Koi jhonkta nahin hai
Kohi rehnuma nahin hai
Kuch soojhta nahin hai
Jo zindagi bachaate
Unko koi poochhta nahi hai

Meri bhooli muskurahat
Tum yun samhaal rakhna
Apna khayaal rakh ke
Mera khayaal rakhna

Meri bhooli muskurahat
Tum yun samhaal rakhna
Apna khayaal rakh ke
Mera khayaal rakhna

Jaanein bachayenge
Jaanein bachayenge
Aa jaanein bachayenge
Jaanein bachayenge

Bhar ke cylinderon mein
Main zindagi hun dhhota
Kaash aisa jaadu aata
Ye khatm hi na hota

Aankhon ke saamne jo
Cheekhein nikaalte hain
Wo saans ki nadi mein
Sikke khangaalte hain

Auron ke gham se ab
Hai toot rahi chhati
Aankhein hain thaki aise
Ab roh bhi nahin paati


Mujhe de do thodi fursat
Mujhe de do ghar ka kona
Mujhe doston se milna
Mujhe der tak hai sona

Bacchon ne jaane apni
Ki ya na ki padhai
Wo qaid hain kamron mein
Mujhko bhi na rihaai

Kaise milega rasta
Kuch boojhta nahi hai
Jo zindagi bachaate
Unko koi poochhta nahi hai

Meri bhooli muskurahat
Tum yun samhaal rakhna
Apna khayaal rakh ke
Mera khayaal rakhna

Meri bhooli muskurahat
Tum yun samhaal rakhna
Apna khayaal rakh ke
Mera khayaal rakhna

Jaanein bachayenge
Jaanein bachayenge
Jaanein bachayenge
Jaanein bachayenge

Jaanein bachayenge
Chal jaanein bachayenge
Aa jaanein bachayenge
Jaanein bachayenge

Kamzor ab na padna
Na mujhko padne dena
Jo bhi ho jaise bhi ho
Muskil na badhne dena

Kamzor ab na padna
Na mujhko padne dena
Jo bhi ho jaise bhi ho
Muskil na badhne dena

Andar se toote hain ham
Fir bhi chalte jayenge
Chal jaanein bachayenge
Chal jaanein bachayenge

Jaanein bachayenge
Aa jaanein bachayenge


Jaanein Bachayenge Video

Related Posts