Parichay Lyrics in English - Amit Bhadana | Ikka

Parichay Lyrics in English Amit Bhadana
Parichay Lyrics in English by Ikka is a Hindi song. Ikka sings “Parichay" song and the song featuring Amit Bhadana. Music composed by Byg Byrd and Parichay Lyrics written by Ikka, Amit Bhadana.


Song Title :Parichay
Singer :Ikka
Music :Byg Byrd
Lyrics :Ikka, Amit Bhadana
Starring :Amit Bhadana

Parichay Lyrics


Jawala jaga andar
Kis baat se hai tang
Duniya se nahi
Khud se hai teri jung

Bimaar ho gaya tha
Laga maut thhi kareeb
Woh daur tha kuchh aisa
Woh waqt tha ajeeb
Jab yeh laga tha lagne
Ki khota hai naseeb
Tab mila YouTube
Aur khud mein belief

Middle class family
Par soch rakhi high
Aaj bhi hai yaad
Chacha ki sutai
Pitaji ka gussa
Uske pichhe ki duayein
Aaj bhi takleef to
Maa hi yaad aaye

Haan mujhse puchho kise kehte hain rona
Haan mujhse puchho kya hota hai khona
99 mein kho diya pita ji ko maine
Mujhse puchho hota kya hai pitaji ka hona

Mere chacha ji aur daadi
Bhagwan ke do roop
Chhanv mein hai rakha
Na lagne di hai dhoop
Paal ke bada kiya
Bada diya naseeb hai
Naseeb wale hote jo
Apnon ke kareeb hain

Jo thi pehle nafratein
Jo thi pehle gaaliyan
Aaj woh hain tareefein
Aaj wohi taaliyan
Maine ki hai mehnat
Jo dekha maine paa liya
YouTube ke through naya
Parivar hai bana liya

Chhoti si umar mein
Ek chhotu mera yaar tha
Bat ball khelte
Wahi mera pyar tha
Ghar ki gareebi ki
Wajah se sab chhoda
Aaj bhi hai yaad
Chacha ne jab balla mera toda

Khel kood chhod jimmedariyan uthai
Sapnon ko chhod karne laga main padhai
Tha aata taras dekh maa ki tanhai
Behan baithi ghar pe
Jiski sun’ni thi shehnai

School mein tha maskhara
Sabko tha hasata
Band kamre mein roya
Na kisi ko jatata
Adhyapak the bolte ke isko na padhana
Pankaj Kaushal bole naam hai haan
Amit Badhana

18 ka ladka college mein jaake bhatka
Chakachondh mein tha kho gaya
Jo na tha main woh ho gaya
The jinke dil tode unse maafi hath jod ke
Jinhone diye dhokhe unhein Ram Ram bol ke


Jo thi pehle nafratein
Jo thi pehle gaaliyan
Aaj woh hain tareefein
Aaj wohi taaliyan
Maine ki hai mehnat
Jo dekha maine paa liya
YouTube ke through naya
Parivar hai bana liya

Padhai mein na man
Kuchh bada tha karna
Jeb khaali roti aakhein
Aur akela kamra
Aankhon mein le aansu
Hasna maine seekha
Hasne ne sikhaya mujhe
Jeene ka tareeka

Angrezi gaanon pe
Kiye desi gaane mix
Dubbing sun logon ka
Pyar hua fix
Copyright pad gaya udd gaya content
Toot gaya dil bikhre the saare sentiment

Phir main khud video mein aaya
Content fresh tha maine banaya
Desi content jo des se juda
Desi dekh desi sabka ban’ne laga

Party mein mile kuchh bade youtuber
Udaya jinhone mera munh par mazak
Gussa main pee gaya wapas wahin gaya
Jahan tha Avinash aur Rohit ka sath
Maine kaam se diya
Naam waalon ko jawab
Sabke muhh band chukta hisaab

11 million ka tay kiya fasla
Mere fans meri jaan
Mere fans mera hausla
Fanfeast jinke liye chhoda
Unhi ne dil toda
Ki dagabaazi mujhse
Mujhse andar se jhinjhoda
Fanfeast pe jaunga
Gale fans ko lagaunga
Pichhle saal nahi aaya
Maafi main chahunga

Jo mehnat se kamaye
Un fans pe hai naaz
Desh ki awaaz 4-5 dost khaas
2-4 kam par jitne lajawab
Poore kiye khud ke dum par
Jitne dekhe maine khwaab

Kuchh logon ka yeh bhi kehna hai
Na to yeh party karta hai
Na hi yeh industry ke logon se milta hai
Main batata hoon
Iss industry culture kuchh aisa hai
Yeh ugte suraj ko salaam karte hain
Jab mera bura waqt mere kaam ke liye tha
To mera achcha waqt bhi kaam ke liye hi hoga


Jo thi pehle nafratein
Jo thi pehle gaaliyan
Aaj woh hain tareefein
Aaj wohi taaliyan
Maine ki hai mehnat
Jo dekha maine paa liya
YouTube ke through naya
Parivar hai bana liya

Bachchon ke sath mummy papa ko hansaya
Gandh nai content parivar ek banaya
Phir bhi kaafi log bas
Gandh hi sarahate hain
Mere saaf content aur views
Jawab de jaate hain

Instagram admin mujhe rokna yeh chahte
Par yeh log meri soch kabhi rok nahi payenge
Jitna bhi laga lo zor utna laga lo
Par yeh ugte suraj ko kabhi rok nahi payenge

FB, Insta admin ka bas kaam
Kar na burai chand rupaye lekar
Na deen na imaan
Yeh woh jo ghumnaam
Phir kya ukhaad liya itne paise dekar
Ha ha ha

Mera vision clear
Inka hai blur blur
Barsaati medhak saare karein tarr tarr
Bhole bhaale bachche bigaadte ho tum
Jaldi se utro yeh bithayenge na sar par

Kuchh anpadhon ka kehna Amit hai ganwaar
Kyun ki apni desi boli ka kiya hai prachaar
Jo kiya hai maine uska aadha bhi tu kar
MLO ki degree aan sadd rahi hai ghar par
Angreji aati achche se tujhe sikha bhi doon
Hindustan ki main mitti tabhi to Hindi hoon
Jo bhasha apni bolne mein sharmaate hain
Woh wahin hain thookte jahan woh khaate hain

Kapde se jaati class nahi dekhi
Maine daali dariya mein karke kaafi neki
Ek hi hai aur ek hi rahega
Yeh talent pe yakeen na ki koyi shekhi
YouTube aur viewers main aapka abhaari hoon
Pyar aapka tabhi sab pe bhaari hoon
Na main fake na fenku bas itna farak
Maa ki aankhon ka hoon taara
Jo raha hai chamak

Jo thi pehle nafratein
Jo thi pehle gaaliyan
Aaj woh hain tareefein
Aaj wohi taaliyan
Maine ki hai mehnat
Jo dekha maine paa liya
YouTube ke through naya
Parivar hai bana liya

Pitaji aaj aap jahan par bhi ho
Mujhe pata hai aap mujhe dekh rehe ho
Tabhi aapka ashirwad aur pyar mere sath hai
Mummy aap mere sar ka taj hain
Daadi aur chacha ko bhi aaj mujhpe naaj hai
Doston tumhari bhaabhi bhi mere paas hai
Yeh gaana un sabhi ke liye
Jinhone mujhe bahut kuchh sikhaya
Aur aaj kya se kya banaya
Mere sabhi chahne walon ko
Dil se shukriya aur pyar
Na chahne walon ko bhi bahut saara pyar

Aapka apna Amit Bhadana


Parichay Video

Related Posts