Hum Katha Sunate Lyrics in English, is Luv-Kush's Ramayan song from the TV show Ramayan (1987), is sung by the talented Kavita Krishnamurthy, Hemlata and Ravindra Jain. The lyrics of Ramayan song "Hum Katha Sunate Ram Sakal Gun Dham Ki" were penned by the talented Ravindra Jain and music has also been composed by himself.
Hum Katha Sunate song details:
Song: | Hum Katha Sunate Ram Sakal Gun Dham Ki |
Series: | Ramayan (1987) |
Singer: | Kavita Krishnamurthy, Hemlata, Ravindra Jain |
Lyrics: | Ravindra Jain |
Music: | Ravindra Jain |
Label: | Tilak |
Hum Katha Sunate Lyrics:
Om shree maha ganadhi pataye namah..
Om shree umamaheshawara bhyaa namah
Vaalmiki gurudev ke, paad pankaj sheer naye
Sumire maat saraswati, hum par hohu shahay
Maat peeta ki vandana, karte baaram baar
Gurujan raja praja jan, naman karo swikaar
Hum katha sunate ram sakal gun dham ki
Hum katha sunate ram sakal gun dham ki
Yeh ramayan hai punya katha shri ram ki
Jambu dweepe bharat khande
Aryavarte bharat varshe
Ek nagari hai vikyat ayodhya naam ki
Yehi janma bhoomi hai
Param pujya shree ram ki..
Hum katha sunate ram sakal gun dham ki
Yeh ramayan hai punya katha shree ram ki
Yeh ramayan hai punya katha shree ram ki
Raghukul ke raja dharmatma
Chakravarti dashrath punyatma
Santati hetu yagya karvaya
Dharm yagya ka shubh phal paya
Nrip ghar janme char kumara..
Raghukul deep jagat adhaara..
Charon bhraton ke shubh naama..
Bharat Shatrughan Lakshman Rama..
Guru vashishtha ke gurukul jaake
Alpa kaal vidya sab paake
Puran huyi shiksha
Raghuvar puran kaam ki
Hum katha sunate ram sakal gun dham ki
Yeh ramayan hai punya katha shree ram ki
Mriduswar komal bhavana
Rochak prastuti dhang
Ek ek kar varnan kare
Lav-kush ram prasang
Vishwamitra mahamuni raayi
Inke sang chale dou bhai
Kaise ram tadka maari
Kaise naath ahilya taari
Munivar vishwamitra tab
Sang le lakshman ram
Siya swayamvar dekhne
Pahunche mithila dhaam
Janakpur utsav hain bhaari
Janakpur utsav hain bhaari
Apne var ka chayan Karegi sita sukumari
Janakpur utsav hain bhaari
Janak raj ka kathin pran
Suno suno sab koi
Jo tode shiv dhanush ko
So sita pati hoyi
Ko tore shiv dhanush kathor
Sab ki drishti ram ki aur
Ram vinaygun ke avtaar
Guruvar ki aagya siroddhar
Sehej bhaav se shiv dhanu toda..
Janak suta sang naata joda..
Raghuvar jaisa aur na koi
Sita ki samata nahin hoyi
Dou kare parajit kaanti koti rati kaam ki
Hum katha sunate ram sakal gun dham ki
Yeh ramayan hai punya katha siya ram ki
Sab par shabd mohini daali
Mantramugdha bhaaye sab nar naari
Yun din rain jaat hain beete
Lav-kush ne sab ke mann jeete
Van gaman sita haran hanumat milan
Lanka dehen ravan maran
Ayodhya punaraagaman
Sab vistar sab katha sunaayi
Raja ram bhaye raghuraai
Ram-raj aayo sukh daayi
Sukh samriddhi shree gharghar aayi
Kaal chakra ne ghatna kram mein
Aisa chakra chalaya
Ram siya ke jeevan mein
Phir ghor andhera chaaya
Avadh mein aisa aisa ek din aaya
Nishkalank sita pe praja ne
Mithya dosh lagaya
Avadh mein aisa aisa ek din aaya
Chaldi siya jab todke
Sab neh-naatae moh ke
Pashan hridayon mein na
Angaare jage vidhroha ke
Mamtamayi maaon ke
Aanchal bhi simat kar reh gaye
Gurudev gyan aur neeti ke
Sagar bhi ghat kar rehgaye..
Na raghukul na raghukul nayak
Koi na siya ka hua sahayak
Maanavta ko kho baithe jab
Sabhya nagar ke vaasi
Tab sita ko hua sahayak
Van ka ek sanyaasi..
Un rishi param udaar ka
Valmiki shubh naam
Sita ko aashray diya
Le aaye nij dham..
Raghukul mein kuldeep jalaye..
Ram ke do sut siya ne jaaye..
Shrota gan jo ek raja ki putri hain
Ek raja ki putrvadhu hain
Aur ek chakravati samrat ki patni hain
Wohi maharani sita
Vanvaas ke dukho mein
Apne dino kaise kaat ti hain
Apne kul ke gaurav aur
Swabhimaan ki raksha karte huye
Kisi se sahayta maange bina
Kaise apna kaam woh swayam karti hain
Swayam van se lakdi kaant ti hain
Swayam apna dhaan kootti hain
Swayam apni chakki peesti hain
Aur apni santaanonko
Swavalambi banane
Ki shiksha kaise deti hain
Ab uski karun jhaani dekhiye
Janak dulari kulavadhu dasharath ji ki
Raj rani hoke din van mein bitati hain..
Rehti thi ghiri jise das-dasi aatho yam
Daasi bani apni udaasi ko chupati hain..
Dharam praveena sati param kulina sab
Vidhi dosh-hina jeena dukh mein sikhati hain
Jagmata hari-priya lakshmi swarupa siya
Koonti te hain dhaan bhoj swayam banati hain
Kathin kulhadi leke lakdiya kaant ti hain
Karam likhe ko par kaant nahi paati hain..
Phool bhi uthana bhaari jis sukumari ko tha
Dukh bhari jeevan ka bojh woh uthathi hain
Ardhangini raghuveer ki woh dhar dheer
Bharti hai neer neer nain mein nehlati hain
Jiske prajake apvaadon ke
Kuchakra mein woh
Peesti hai chaaki
Swabhiman ko bachati hain..
Paalti hain bachchonko
Woh karmayogini ke bhaati
Shwavimani swavalambi safal banati hain
Aisi sita mata ki pariksh lete dukh dete
Nithur niyati ko daya bhi nahi aati hain
Oo.. us dukhiya ke raj-dulaare..
Hum hi sut shree ram tihaare..
Oo.. sita maa ki aankh ki taare..
Lav-kush hain pitu naam hamare..
He pitu bhagya hamare jaage
Ram katha kahi ram ke aage..
Hum Katha Sunate Video
FAQs about Hum Katha Sunate song:
Who is the singer of Hum Katha Sunate song?
Kavita Krishnamurthy, Hemlata, Ravindra Jain has sung Hum Katha Sunate song.
Who wrote the lyrics of Hum Katha Sunate song?
Ravindra Jain has written the lyrics of Hum Katha Sunate song.
What serial is Hum Katha Sunate song from?
Hum Katha Sunate song is from Ramayan (1987) TV serial.